Karobar Me Barkat Ki Best Dua

Karobar Me Barkat Ki Best Dua

Karobar Me Barkat Ki Best Dua

Karobar Me Barkat Ki Best Dua “Agar aapko bhi chahiye ki Allah Paak aapko halal rozi, ata farmaye aur aapke rozi, karobar, dukaan mein barkat aaye toh aap in mein se kisi bhi dua ko padh sakte hain.

Ek baar aap Sallallahu Alaihi Wasallam Madine ki gali se guzar rahe the aur aapne ek sahabi ko dekha jo ki duble patle aur jhopdi mein rehte the. Pyare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne unse poocha aapka ghar aur aapka ye haal kaise hua, sahaba ne jawab diya jaan bhi barbaad, maal bhi barbaad.

Barkat Ki Dua :

karobar me barkat ki dua

Unki baat sunkar aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya fikar mat karo ye dua kasrat se padho. Sahaba ne khairo barkat ki dua ko padhna shuru kar diya. Do-teen mahine baad Pyare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam phir usi gali se guzar rahe the toh dekha ki wo to shaan se reh rahe hain aur ghode par baithe hue hain aur mashallah unka ghar bhi aalishan sa dikh raha hai.

Pyare Nabi ne poocha tum wahi hona? Sahaba ne jawab diya ji haan, unhone kaha ki aapne jo barkat ki dua batai thi use padhne se Allah Paak ne meri jaan aur mere maal ko mazboot bana diya.

Rizq me Barkat Ki Dua :

Aapne farmaya tum hi nahi har woh insaan jo is dua ko padhega Allah Paak use jaan aur maal dono ko mazboot kar denge. Yeh dua itni badi bhi nahi hai, aap ise subah mein Fajr ki namaaz ke baad 3 martaba, dopahar mein Dhuhr ke namaaz ke baad 3 martaba, aur shaam mein bhi Asr ki namaaz ke baad 3 martaba padh sakte hain.

Aap bas allah par bharosa karke chand din ise kasrat se kare. insallah allah pak aapke har khairo barkat mamle ko dur kar denge.

Barkat ki dua in hindi :

“Tavakklatu allahyya allji la yamutu alhmdulillahillji lam yatkhiju vladan avalam yakun lahu sharikun filmulki valam yakun lahu valiyayum minjjlla vakbabrahu takbira.”

Khairo Barkat Ki Dua :

Kabhi kabhi aisa hota hai ki accha khas chalta hua karobar thap ho jata hai aur hum musibat mein aa jaate hain. Kyunki usse hamari zindagi chal rahi hoti hai. Isliye aaj main aapke liye aisi rizq ki dua lekar aaya hoon jise agar aap kasrat se padhenge to aapke business aur karobar mein Allah Pak taraqqi laayenge aur aap ek sukoon bhari zindagi jiyenge.

रिज़्क़ में बरकत की दुआ

Jab aap subah uthe to turant wazu karein, wazu karne ke baad dukaan ki taraf chale jayein. Jaise hi dukaan par pahunchen to sabse pehle 3 martaba Surah Al-Nas padhe. Surah Nas ek chhoti dua hai, agar aapko yaad hai to ise padh lein nahi to niche humne ise aapki aasani ke liye Surah Al-Nas Hindi mein likha hai aap ise dekh kar padh sakte hain.

kul aauju bi rabbinnas, malikin-nas, ilahin-nas, min sharil vasvasil khnnas, al-laji yuvasvisu fi sudurinnas, minal jinnati vnnas.

Hume Ummid hai ki aapko barkat ki duaye achhi lagi hongi insallah apko jald hi aapke rizq. karobar, business aur dukan me tarraki badh jayegi.

दरूद शरीफ़ इन हिंदी :

Allahumma salli ala muhammdin va ala aali muhmmadin kama salleta ala ibrahim va ala aali ibrahim innak hamidum majid, allahumm, barik ala muhmmdin va ala aali muhammdin va ala aali muhammdin kma barkta ala ibrahim va ala aali ibrahim innak hamidum majid.

Karobar me Barkat ki ek aur dua :

Karobar Me Barkat Ki Best Dua

  1. Yahaan par humne kaarobaar mein barkat ke liye vazeefa bataya hai. Is pe aap zaroor amal karein, Insha’Allah aapki kaarobaar mein bahut barkat dekhne ko milegi.
  2. Aap har roz Maghrib ki namaaz ke baad Surah Waqiah ko achhi niyat se tilawat karein. Aap isse chahein to ghar par ya jahaan aapki kaarobaar chal raha ho wahaan par tilawat karein.
  3. Har roz subah subah Fajar ki namaaz ke baad Suraj tuloo ho jaane par, Kaaba ki jaanib rukh karke 313 martaba Bismillah hirrahman nirrahim padhein. Ye bhi kaarobaar mein taraqqi ke liye bahut zyaada mufeed hai.
  4. Phir hasbunallahu wa ni’mal wakeel, wa ni’mal maula, wa ni’man naseer iski bhi zyaada se zyaada tilawat ki jaaye to ye bhi tijaarat ke liye zyaada faaydemand hai.
  5. Apne business mein jahaan par aap business kar rahe ho wahaan par MashaAllah, La Quwwata Illa Billah, Salaam Ali Noah Fi Alameen Urdu wala likh kar laga dein.
  6. Agar aap har roz paanchon waqt ki namaaz padh rahe ho to har namaaz ke baad 111 ek sau gyarah martaba ya Lateefu padh kar dua karein, InshaAllah barkat hogi.
  7. Yahaan par jitne bhi wazifa humne batai hai, isse aap har roz apne business mein barkat ke liye vird milne tak karen, zaroor aapke business mein barkat hogi InshaAllah.
  8. Hamara aur aapka kaam hai maangna, baaki to dene waala hamara Rab hi to hai jiske khazaane mein kisi bhi tarah ki koi bhi cheez ki kami nahi hai MashaAllah.
  9. Aisa nahi ki kaamyaab ho jaane par yani barkat milne lage to bhool jaayein, aap isse barkat ho jaane par bhi karein ki hamara Rab ko maangne ke saath saath shukriya ada karna bhi bahut pasand karta hai.
  10. Logo ne ye bhi pasand kiya : Pasand Ki Shadi Ka Wazifa

Dukan me Barkat ki dua :

Bismillahirrahmanerahim ya mussibal asbab va ya muftihal abwab va ya mukkilxal. kulub va ya khalikul absar va ya dalilil muthayiyarin arashidani.

Tarkib- jis aadmi ka rojgar na ho ya naukari ya vyavsay na ho to ye amal bada kaam karta hai. Subah ki namaz ke baad ya isha ki namaz ke baad padha jayega. Tadad ek sau ek baar. Shuru aur ant me iske 11-11 bar darud sharif padha jaye. 40 din pure na honge, insalllah us se pahle hi barkat hona shuru ho jayega.

Rozi Me Tarakki Ke Liye :

Rozi me tarakki ke liye dua is mamuli tarike se rojana padhna hai to iski tarkib yah hai ki fajar ki namaj ke baad pahle ya latifu 126 baar padh kar bismillah ke sath “allahu latifum biibadihi yarjuku mayyashau vahuval kaviyyul ajij” ek sau baar padhe iske baad is dua ko 11 bar padhkar.

Dua kare aur yadi kisi mamle ya jabardast kam ke liye padhna hai. to is dua ko 3303 baar ek hi baithak. me jis pahlu se baithe usi pahlu par baitha rahe. insallah rozi me barkat aur tarakki hogi, aur har murad puri hogi.

Is amal ko nauchandi jummarat se shuru karna chahiye mahine ke shuru me.

allahumma ya mus khkhrasyama vatisasabai val arjay nassbai va man fihinna va man alyahinna sakhikhr li kulla shain min ibdika.

Leave a Comment

Call Now